Uljhay Hoye halaat ka shikwa na kiya ker
Khairat main khusiyon ki tamana na kiya ker
Soo baar kaha itni muhabbat nahin achi
Soo baar kaha itna bharosa na kiya ker
Halaat tujh ko mujh se na milnay kabhi dain gay
Aye dost mere,meri tamana na kiya ker
Kya janay yeh kis mor pe le jaye zamana
Tu mujh ko kisi pal bhi alvida na kiya ker
Mumkin hai kisi roz bicher jaon achanak
Tu mujh se pyar itna ziada na kiya ker!
literally this is fantasticcccccc <3 feelingsss
ReplyDelete